arz-e-talab ki hum ko ijazat kahan hai ab
arz-e-talab kī ham ko ijāzat kahāñ hai ab
girvī qalam hai aur muqaffal zabāñ hai ab
rokā gayā qalam ko to tesha banā liyā
har lafz tiir aur ye lab ik kamāñ hai ab
ham be-ḳhudī meñ tark-e-tamannā tak aa ga.e
ab fikr-e-dil nahīñ hai na tashvīsh-e-jāñ hai ab
ye hijr hai ki vasl ki duurī hai yā hai qurb
kyā silsila ye tere mire darmiyāñ hai ab
yuuñ thā ki jo bhī rut thī kalām-o-suḳhan kī thī
yuuñ hai bas ek mausam-e-āh-o-fuġhāñ hai ab
phūñke haiñ ḳhvāb rātoñ ke bujhte alaav meñ
āñkhoñ meñ kuchh nahīñ hai dhuāñ hī dhuāñ hai ab
har ik qadam pe koī bharam TūTtā gayā
apne yaqīñ kā ham ko faqat ik gumāñ hai ab
qisse purāne ho ga.e rāñjhā ke qais ke
sab kī zabāñ pe merī na.ī dāstāñ hai ab
maiñ āḳhirī diyā huuñ siyah-baḳht raat kā
mere hī dam se mehr-o-vafā kā nishāñ hai ab
arz-e-talab ki hum ko ijazat kahan hai ab
girwi qalam hai aur muqaffal zaban hai ab
roka gaya qalam ko to tesha bana liya
har lafz tir aur ye lab ek kaman hai ab
hum be-KHudi mein tark-e-tamanna tak aa gae
ab fikr-e-dil nahin hai na tashwish-e-jaan hai ab
ye hijr hai ki wasl ki duri hai ya hai qurb
kya silsila ye tere mere darmiyan hai ab
yun tha ki jo bhi rut thi kalam-o-suKHan ki thi
yun hai bas ek mausam-e-ah-o-fughan hai ab
phunke hain KHwab raaton ke bujhte alaw mein
aankhon mein kuchh nahin hai dhuan hi dhuan hai ab
har ek qadam pe koi bharam TuTta gaya
apne yaqin ka hum ko faqat ek guman hai ab
qisse purane ho gae ranjha ke qais ke
sab ki zaban pe meri nai dastan hai ab
main aaKHiri diya hun siyah-baKHt raat ka
mere hi dam se mehr-o-wafa ka nishan hai ab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.