arz karta hun maniye waiz
arz karta hun maniye waiz
Hakeem Anwar Mohammad Khan Kamil
MORE BYHakeem Anwar Mohammad Khan Kamil
arz kartā huuñ māniye vaa.iz
varna phir aap jāniye vaa.iz
kaisī lazzat hai mai meñ poshīda
pī ke thoḌī sī dekhiye vaa.iz
go milegī sharāb jannat meñ
kaun ummīd par jiye vaa.iz
hai yaqīñ baḳhsh degā ham ko ḳhudā
kaam achchhe bhī kuchh kiye vaa.iz
dekhnā mai-kade meñ aaya hai
saath ek shoḳh ko liye vaa.iz
vāqa.ī aap ne bhī kī tauba
kahīñ aisā na kījiye vaa.iz
dil meñ 'kāmil' ke rah ga.ī hasrat
ho ga.e tang qāfiye vaa.iz
arz karta hun maniye waiz
warna phir aap jaaniye waiz
kaisi lazzat hai mai mein poshida
pi ke thoDi si dekhiye waiz
go milegi sharab jannat mein
kaun ummid par jiye waiz
hai yaqin baKHsh dega hum ko KHuda
kaam achchhe bhi kuchh kiye waiz
dekhna mai-kade mein aaya hai
sath ek shoKH ko liye waiz
waqai aap ne bhi ki tauba
kahin aisa na kijiye waiz
dil mein 'kaamil' ke rah gai hasrat
ho gae tang qafiye waiz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.