asar baaton ka tujh par ab sitam-gar kuchh nahin hota
asar baaton ka tujh par ab sitam-gar kuchh nahin hota
Meem Maroof Ashraf
MORE BYMeem Maroof Ashraf
asar bātoñ kā tujh par ab sitam-gar kuchh nahīñ hotā
qasī-ul-qalb is darja ki patthar kuchh nahīñ hotā
yaqīñ garche na aa.e aazmā kar dekh lījegā
sivā dukh ke mohabbat meñ mayassar kuchh nahīñ hotā
nazar jo kaam kartī hai kahāñ ḳhanjar vo karte haiñ
nazar ke sāmne talvār-o-nashtar kuchh nahīñ hotā
ġhazal ash'ār tere husn ke marhūn-e-minnat haiñ
ye zan terī badaulat hai suḳhan-var kuchh nahīñ hotā
zarūrat hai ‘umar fārūq jaise peshvāoñ kī
nazar meñ jin kī kamtar aur bartar kuchh nahīñ hotā
luTā kar sab husain ibn-e-'alī ne ham ko batlāyā
ki aage diin ke ‘abbās-o-akbar kuchh nahīñ hotā
asar baaton ka tujh par ab sitam-gar kuchh nahin hota
qasi-ul-qalb is darja ki patthar kuchh nahin hota
yaqin garche na aae aazma kar dekh lijega
siwa dukh ke mohabbat mein mayassar kuchh nahin hota
nazar jo kaam karti hai kahan KHanjar wo karte hain
nazar ke samne talwar-o-nashtar kuchh nahin hota
ghazal ash'ar tere husn ke marhun-e-minnat hain
ye zan teri badaulat hai suKHan-war kuchh nahin hota
zarurat hai ‘umar faruq jaise peshwaon ki
nazar mein jin ki kamtar aur bartar kuchh nahin hota
luTa kar sab husain ibn-e-'ali ne hum ko batlaya
ki aage din ke ‘abbas-o-akbar kuchh nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.