asar dua mein nahin tishna sare KHwab rahe
asar du'ā meñ nahīñ tishna saare ḳhvāb rahe
raqīb ne kahā āmīn mustajāb rahe
vo jin ke qurb kī ḳhvāhish rahī hamesha se
'adū ko roz hī pahroñ vo dastyāb rahe
na jo hameñ pas-e-chilman kabhī dikhā.ī diye
sadā vo sāmne ġhairoñ ke be-hijāb rahe
vo jin kī raah meñ palkeñ bichā.ī thiiñ ham ne
tamām jaur-o-sitam ham pe be-hisāb rahe
na-jāne bad-du'ā 'shahzād' kis ne dī ham ko
tamām 'umr hī ġham apne ham-rikāb rahe
asar du'a mein nahin tishna sare KHwab rahe
raqib ne kaha aamin mustajab rahe
wo jin ke qurb ki KHwahish rahi hamesha se
'adu ko roz hi pahron wo dastyab rahe
na jo hamein pas-e-chilman kabhi dikhai diye
sada wo samne ghairon ke be-hijab rahe
wo jin ki rah mein palken bichai thin hum ne
tamam jaur-o-sitam hum pe be-hisab rahe
na-jaane bad-du'a 'shahzad' kis ne di hum ko
tamam 'umr hi gham apne ham-rikab rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.