asar jab kuchh nahin hota dawa mein
asar jab kuchh nahīñ hotā davā meñ
mudāvā DhūñDte haiñ ham duā meñ
tumhārī yaad kī parchhā.iyāñ haiñ
mire kamre kī dhuñdlī sī fazā meñ
fanā se zindagī miTtī hai lekin
na.ī ik zindagī bhī hai fanā hai
kahānī sun ke apne hī sitam kī
kaleja is tarah na aap thāmeñ
bharosa sirf mujh ko hai ḳhudā kā
mirī kashtī hai dast-e-nāḳhudā meñ
kalī hañs kar banī hai phuul 'raushan'
ajab paiġhām thā bād-e-sabā meñ
asar jab kuchh nahin hota dawa mein
mudawa DhunDte hain hum dua mein
tumhaari yaad ki parchhaiyan hain
mere kamre ki dhundli si faza mein
fana se zindagi miTti hai lekin
nai ek zindagi bhi hai fana hai
kahani sun ke apne hi sitam ki
kaleja is tarah na aap thamen
bharosa sirf mujh ko hai KHuda ka
meri kashti hai dast-e-naKHuda mein
kali hans kar bani hai phul 'raushan'
ajab paigham tha baad-e-saba mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.