asar kiya lab-e-KHamosh ne zaban ki tarah
asar kiyā lab-e-ḳhāmosh ne zabāñ kī tarah
bikhar gayā mirā har ashk dāstāñ kī tarah
kiye haiñ tū ne sitam jaur-e-āsmāñ kī tarah
jo imtihān liye mujh se imtihāñ kī tarah
kahāñ Thikāna banā.ūñgā apnā ai sayyād
qafas bhī raas na aaya jo āshiyāñ kī tarah
shab-e-visāl hai jī bhar ke muskurāne do
bahār aa.ī chaman meñ mire ḳhizāñ kī tarah
mirī to gardish-e-pā hai azal se qismat meñ
zamīñ bhī ghūmtī hai daur-e-āsmāñ kī tarah
kahīñ pe manzil-e-āshiq safar meñ ḳhud to nahīñ
nazar meñ rahtī hai kyoñ bahr-e-bekarāñ kī tarah
kahūñ to kaise kahūñ un se hāl-e-dil ai 'prem'
zabān rakhtā huuñ jab apnī be-zabāñ kī tarah
asar kiya lab-e-KHamosh ne zaban ki tarah
bikhar gaya mera har ashk dastan ki tarah
kiye hain tu ne sitam jaur-e-asman ki tarah
jo imtihan liye mujh se imtihan ki tarah
kahan Thikana banaunga apna ai sayyaad
qafas bhi ras na aaya jo aashiyan ki tarah
shab-e-visal hai ji bhar ke muskurane do
bahaar aai chaman mein mere KHizan ki tarah
meri to gardish-e-pa hai azal se qismat mein
zamin bhi ghumti hai daur-e-asman ki tarah
kahin pe manzil-e-ashiq safar mein KHud to nahin
nazar mein rahti hai kyon bahr-e-bekaran ki tarah
kahun to kaise kahun un se haal-e-dil ai 'prem'
zaban rakhta hun jab apni be-zaban ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.