asar kya ye teri jadu-bayani ka nahin tha
asar kyā ye tirī jādū-bayānī kā nahīñ thā
maiñ bhīgī thī magar ehsās paanī kā nahīñ thā
bhaTak kar apne qisse se vo tere paas aayā
magar kirdār vo terī kahānī kā nahīñ thā
tirī ḳhvāhish bhī shāmil thī tire yuuñ Dūbne meñ
ye saarā dosh bas dariyā ke paanī kā nahīñ thā
havāoñ se bhī kyā laḌte vo kashtī ke musāfir
unheñ kuchh ilm bhī to bādbānī kā nahīñ thā
milegā kyā ajī ban kar kisī raaja kī raanī
koī raaja kabhī bhī ek raanī kā nahīñ thā
ta.āqub meñ thā tere ḳhud samundar ai nadī par
tujhe ehsās hī apnī ravānī kā nahīñ thā
asar kya ye teri jadu-bayani ka nahin tha
main bhigi thi magar ehsas pani ka nahin tha
bhaTak kar apne qisse se wo tere pas aaya
magar kirdar wo teri kahani ka nahin tha
teri KHwahish bhi shamil thi tere yun Dubne mein
ye sara dosh bas dariya ke pani ka nahin tha
hawaon se bhi kya laDte wo kashti ke musafir
unhen kuchh ilm bhi to baadbani ka nahin tha
milega kya aji ban kar kisi raja ki rani
koi raja kabhi bhi ek rani ka nahin tha
taaqub mein tha tere KHud samundar ai nadi par
tujhe ehsas hi apni rawani ka nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.