asar mein aata gaya main teri saKHawat ke
asar meñ aatā gayā maiñ tirī saḳhāvat ke
darāz hote ga.e haath merī hājat ke
laboñ pe mauja-e-nik.hat yuñhī nahīñ raqsāñ
khile haiñ phuul mire dil meñ terī chāhat ke
tapish kuchh aisī thī ḳhurshīd-e-istaqāmat kī
pasīne chhūT ga.e sho'la-e-'adāvat ke
ye bāt-bāt meñ tark-e-ta'alluqāt kī baat
batāo kyā yahī ādāb haiñ mohabbat ke
hameñ bhī baḳhsh sukūñ aa kabhī idhar bhī aa
ki ham bhī haiñ mutamannī tirī ziyārat ke
navāzisheñ tirī haa.il agar nahīñ hotīñ
to ham bhī karte nazāre sukūn-o-rāhat ke
damak rahe haiñ jo dāman pe ban ke lā'l-o-guhar
'habīb' ashk haiñ dar-asl vo nadāmat ke
asar mein aata gaya main teri saKHawat ke
daraaz hote gae hath meri hajat ke
labon pe mauja-e-nikhat yunhi nahin raqsan
khile hain phul mere dil mein teri chahat ke
tapish kuchh aisi thi KHurshid-e-istaqamat ki
pasine chhuT gae sho'la-e-'adawat ke
ye baat-baat mein tark-e-ta'alluqat ki baat
batao kya yahi aadab hain mohabbat ke
hamein bhi baKHsh sukun aa kabhi idhar bhi aa
ki hum bhi hain mutamanni teri ziyarat ke
nawazishen teri hail agar nahin hotin
to hum bhi karte nazare sukun-o-rahat ke
damak rahe hain jo daman pe ban ke la'l-o-guhar
'habib' ashk hain dar-asl wo nadamat ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.