asar mein dekhiye ab kaun kam nikalta hai
asar meñ dekhiye ab kaun kam nikaltā hai
idhar se teġh udhar se qalam nikaltā hai
firāq meñ to nikaltī thī jaan vaise bhī
par aaj vasl meñ hairat se dam nikaltā hai
khaḌā huā hai adū kā muāmla aise
bayān kiije to pahlū-e-dam nikaltā hai
maiñ roz jis ke taġhāful kā ronā rotā huuñ
vo shaḳhs ġhaur se dekhe to dam nikaltā hai
jo daam milte haiñ becho matā-e-fan ko 'shujā'
ye maal in dinoñ vaise bhī kam nikaltā hai
asar mein dekhiye ab kaun kam nikalta hai
idhar se tegh udhar se qalam nikalta hai
firaq mein to nikalti thi jaan waise bhi
par aaj wasl mein hairat se dam nikalta hai
khaDa hua hai adu ka muamla aise
bayan kije to pahlu-e-dam nikalta hai
main roz jis ke taghaful ka rona rota hun
wo shaKHs ghaur se dekhe to dam nikalta hai
jo dam milte hain becho mata-e-fan ko 'shuja'
ye mal in dinon waise bhi kam nikalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.