asar nasihat tumhaari mujh par hai rut suhani na kar sakegi
asar nasihat tumhaari mujh par hai rut suhani na kar sakegi
Nazim Zarsinar
MORE BYNazim Zarsinar
asar nasīhat tumhārī mujh par hai rut suhānī na kar sakegī
samajhtā huuñ ehtiyāt itnī mirī javānī na kar sakegī
adhūre alfāz ke zarīye vafā kā iz.hār hai qayāmat
ki jaadū sharm aur hichkichāhaT sā yaañ ravānī na kar sakegī
ye husn vāloñ se bhar gayā hai hasīñ ho tum bhī pe mere dil par
tumhārī sūrat bhī baa'd kuchh din ke hukmrānī na kar sakegī
rahegī kab tak mohabbatoñ kī asaas in be-hijābiyoñ par
kabhī bhī jalvagarī sā jaadū to lan-tarānī na kar sakegī
mirā tasavvur ġhalat hī niklā yahī haqā.eq kā faisla hai
ki koī bhī tarz mere jazboñ kī tarjumānī na kar sakegī
asar nasihat tumhaari mujh par hai rut suhani na kar sakegi
samajhta hun ehtiyat itni meri jawani na kar sakegi
adhure alfaz ke zariye wafa ka izhaar hai qayamat
ki jadu sharm aur hichkichahaT sa yan rawani na kar sakegi
ye husn walon se bhar gaya hai hasin ho tum bhi pe mere dil par
tumhaari surat bhi ba'd kuchh din ke hukmrani na kar sakegi
rahegi kab tak mohabbaton ki asas in be-hijabiyon par
kabhi bhi jalwagari sa jadu to lan-tarani na kar sakegi
mera tasawwur ghalat hi nikla yahi haqaeq ka faisla hai
ki koi bhi tarz mere jazbon ki tarjumani na kar sakegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.