asbab-e-bud-o-bash liye bhagte rahe
asbāb-e-būd-o-bāsh liye bhāgte rahe
ham ḳhvāhish-e-ma.āsh liye bhāgte rahe
apnoñ kā ġham-navāzī ne ye haal kar diyā
ham dard-e-dil-ḳharāsh liye bhāgte rahe
us ne baḌe kamāl se baazī to jiit lī
ham the ki sirf taash liye bhāgte rahe
pahuñcheñge ḳhaak manzil-e-jānāñ pe log vo
jo dil kā irti.āsh liye bhāgte rahe
vo jin ko apnī zinda-dilī par ġhurūr thā
ḳhauf-e-shikast-e-fāsh liye bhāgte rahe
ham haiñ shahīd-e-vaqt zarā dekhiye hameñ
kāñdhe pe apnī laash liye bhāgte rahe
'anvar' hamārī ruuh hameñ DhūñDhtī rahī
ham jism-e-pāsh-pāsh liye bhāgte rahe
asbab-e-bud-o-bash liye bhagte rahe
hum KHwahish-e-maash liye bhagte rahe
apnon ka gham-nawazi ne ye haal kar diya
hum dard-e-dil-KHarash liye bhagte rahe
us ne baDe kamal se bazi to jit li
hum the ki sirf tash liye bhagte rahe
pahunchenge KHak manzil-e-jaanan pe log wo
jo dil ka irtiash liye bhagte rahe
wo jin ko apni zinda-dili par ghurur tha
KHauf-e-shikast-e-fash liye bhagte rahe
hum hain shahid-e-waqt zara dekhiye hamein
kandhe pe apni lash liye bhagte rahe
'anwar' hamari ruh hamein DhunDhti rahi
hum jism-e-pash-pash liye bhagte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.