ashjar dast-basta sajde mein jhukte sae
ashjār dast-basta sajde meñ jhukte saa.e
ye kaun idhar se guzrā ḳhushbū havā se aa.e
dil-sahn se uThā hai ik intizār jab se
ḳhālī makāñ meñ ḳhālī din jaa.e raat jaa.e
ik dard be-karāñ sā bahtā hai dil kī jānib
bolūñ to lahr uTThe varna sukūt chhā.e
is daf.a bādaloñ meñ chehre na.e bane haiñ
mumkin hai bārishoñ kā mausam bhī raas aa.e
muddat ke baad us ne milne kā dam bharā hai
dhaḌkā lagā hai phir se mausam badal na jaa.e
takte haiñ āsmāñ se kuchh ḳhvāb an-chhue se
thak haar ke parinda jab ghar ko lauT aa.e
lagne lagā thā qissa be-rabt be-sabab sā
sab sun rahe the 'mīrā' ham hī sunā na paa.e
ashjar dast-basta sajde mein jhukte sae
ye kaun idhar se guzra KHushbu hawa se aae
dil-sahn se uTha hai ek intizar jab se
KHali makan mein KHali din jae raat jae
ek dard be-karan sa bahta hai dil ki jaanib
bolun to lahr uTThe warna sukut chhae
is dafa baadalon mein chehre nae bane hain
mumkin hai barishon ka mausam bhi ras aae
muddat ke baad us ne milne ka dam bhara hai
dhaDka laga hai phir se mausam badal na jae
takte hain aasman se kuchh KHwab an-chhue se
thak haar ke parinda jab ghar ko lauT aae
lagne laga tha qissa be-rabt be-sabab sa
sab sun rahe the 'mira' hum hi suna na pae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.