ashk aankhon ke liye hai aur gham dil ke liye
ashk āñkhoñ ke liye hai aur ġham dil ke liye
ik samundar ke liye hai ek sāhil ke liye
ham-safar azm-e-safar ho to safar āsān hai
rāste ḳhud rāsta dete haiñ manzil ke liye
hal huī mushkil mirī yuuñ jaise mushkil hī na thī
dī sadā mushkil-kushā ko jab bhī mushkil ke liye
mas.ale hī mas.ale haiñ jis taraf bhī jā.iye
log sanjīda nahīñ shāyad masā.il ke liye
sab ko bairūnī ujāloñ hī kī ḳhvāhish hai yahāñ
māñgtā koī nahīñ ab raushnī dil ke liye
is qadar ehsās ġhurbat kā nahīñ hotā hameñ
gar hamāre paas hotā kuchh bhī saa.il ke liye
ḳhvāhishoñ ke hasratoñ ke aarzū ke dard ke
saiñkaḌoñ mausam bane 'rāhat' mire dil ke liye
ashk aankhon ke liye hai aur gham dil ke liye
ek samundar ke liye hai ek sahil ke liye
ham-safar azm-e-safar ho to safar aasan hai
raste KHud rasta dete hain manzil ke liye
hal hui mushkil meri yun jaise mushkil hi na thi
di sada mushkil-kusha ko jab bhi mushkil ke liye
masale hi masale hain jis taraf bhi jaiye
log sanjida nahin shayad masail ke liye
sab ko bairuni ujalon hi ki KHwahish hai yahan
mangta koi nahin ab raushni dil ke liye
is qadar ehsas ghurbat ka nahin hota hamein
gar hamare pas hota kuchh bhi sail ke liye
KHwahishon ke hasraton ke aarzu ke dard ke
sainkaDon mausam bane 'rahat' mere dil ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.