ashk aankhon mein aur dil mein aahon ke sharar dekhe
ashk āñkhoñ meñ aur dil meñ aahoñ ke sharar dekhe
barsāt ke mausam meñ jalte hue ghar dekhe
āḳhir ko ye din tū ne ai dīda-e-tar dekhe
milte hue miTTī meñ anmol guhar dekhe
jalvoñ kī hadeñ āḳhir kaise muta.ayyan hoñ
āñkhoñ ne tire jalve tā-hadd-e-nazar dekhe
gahnā.e hue chāñd aur dhundlā.e hue sūraj
furqat meñ in āñkhoñ ne kyā shām-o-sahar dekhe
pahuñchā de salām us tak ham tīra-nasīboñ kā
jo 'rāhī'-e-ḳhush-qismat tanvīr-e-sahar dekhe
ashk aankhon mein aur dil mein aahon ke sharar dekhe
barsat ke mausam mein jalte hue ghar dekhe
aaKHir ko ye din tu ne ai dida-e-tar dekhe
milte hue miTTi mein anmol guhar dekhe
jalwon ki haden aaKHir kaise mutayyan hon
aankhon ne tere jalwe ta-hadd-e-nazar dekhe
gahnae hue chand aur dhundlae hue suraj
furqat mein in aankhon ne kya sham-o-sahar dekhe
pahuncha de salam us tak hum tira-nasibon ka
jo 'rahi'-e-KHush-qismat tanwir-e-sahar dekhe
- Book : Tahreek Silver Jubilee Number (Pg. 435)
- Author : Gopal Mittal, Makhmoor Saeedi, Prem Gopal Mittal
- Publication : Monthly Tahreek, 9, Ansari Market, Daryaganj, New Delhi-110002 (July, Aug., Sep. Oct. 1978,Volume No. 26,Issue No. 4,5,6,7,)
- Edition : July, Aug., Sep. Oct. 1978,Volume No. 26,Issue No. 4,5,6,7,
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.