ashk aankhon mein bahane ke liye rakkhe hain
ashk āñkhoñ meñ bahāne ke liye rakkhe haiñ
qīmtī motī luTāne ke liye rakkhe haiñ
TukḌe TukḌe tirī tasvīr nahīñ kī hai faqat
sun le ye ḳhat bhī jalāne ke liye rakkhe haiñ
ġhair ke saath rifāqat hai magar ham jaise
bazm meñ she'r sunāne ke liye rakkhe haiñ
in piyādoñ se mohabbat hī nahīñ hai tum ko
ye to bas jaan gañvāne ke liye rakkhe haiñ
mujh ko mā'lūm hai ye hoñT mire gāloñ par
tū ne ehsān jatāne ke liye rakkhe haiñ
kuchh munāfiq to ḳhudā tū ne hamārī saf meñ
sirf ehsās dilāne ke liye rakkhe haiñ
chand bose jo mire naam ke hote 'hamza'
us ne mahfūz zamāne ke liye rakkhe haiñ
ashk aankhon mein bahane ke liye rakkhe hain
qimti moti luTane ke liye rakkhe hain
TukDe TukDe teri taswir nahin ki hai faqat
sun le ye KHat bhi jalane ke liye rakkhe hain
ghair ke sath rifaqat hai magar hum jaise
bazm mein she'r sunane ke liye rakkhe hain
in piyaadon se mohabbat hi nahin hai tum ko
ye to bas jaan ganwane ke liye rakkhe hain
mujh ko ma'lum hai ye honT mere galon par
tu ne ehsan jatane ke liye rakkhe hain
kuchh munafiq to KHuda tu ne hamari saf mein
sirf ehsas dilane ke liye rakkhe hain
chand bose jo mere nam ke hote 'hamza'
us ne mahfuz zamane ke liye rakkhe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.