ashk aankhon mein bhar gaya hoga
ashk āñkhoñ meñ bhar gayā hogā
vo mujhe yaad kar gayā hogā
khet beche the us ne purkhoñ ke
haa.e faaqe se mar gayā hogā
kitne chehre the ek chehre pe
aa.ina us se Dar gayā hogā
us kī dastār abhī salāmat hai
hādse meñ to sar gayā hogā
ek muddat hai us ke chehre pe
vaqt aa ke Thahar gayā hogā
ashk aankhon mein bhar gaya hoga
wo mujhe yaad kar gaya hoga
khet beche the us ne purkhon ke
hae faqe se mar gaya hoga
kitne chehre the ek chehre pe
aaina us se Dar gaya hoga
us ki dastar abhi salamat hai
hadse mein to sar gaya hoga
ek muddat hai us ke chehre pe
waqt aa ke Thahar gaya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.