ashk aankhon mein DabDabae hain
ashk āñkhoñ meñ DabDabā.e haiñ
bhūle afsāne yaad aa.e haiñ
ham ne dāman ko tār-tār kiyā
mausam-e-gul ne gul khilā.e haiñ
aksar auqāt roġhnī ke liye
ham ne dil ke diye jalā.e haiñ
rañj baḳhshe haiñ aise apnoñ ne
ham ko begāne yaad aa.e haiñ
chand-roza hayāt kī ḳhātir
zindagī-bhar fareb khaa.e haiñ
mai-kasho ek jaam ta.azīman
hazrat-e-vā.iz aaj aa.e haiñ
vaqt hī kā to pher hai 'bismil'
kal jo apne the ab parā.e haiñ
ashk aankhon mein DabDabae hain
bhule afsane yaad aae hain
hum ne daman ko tar-tar kiya
mausam-e-gul ne gul khilae hain
aksar auqat roghni ke liye
hum ne dil ke diye jalae hain
ranj baKHshe hain aise apnon ne
hum ko begane yaad aae hain
chand-roza hayat ki KHatir
zindagi-bhar fareb khae hain
mai-kasho ek jam taziman
hazrat-e-waiz aaj aae hain
waqt hi ka to pher hai 'bismil'
kal jo apne the ab parae hain
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 89)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.