ashk aankhon mein hon aur roun nahin
ashk āñkhoñ meñ hoñ aur ro.uuñ nahīñ
mo'jiza kahiye ise afsūñ nahīñ
baal bhar bhī qad se maiñ uchhlūñ nahīñ
ḳhud se chhoTā bhī nazar aa.uuñ nahīñ
din agar din se hoñ rāteñ raat sī
vahshatoñ meñ is qadar uljhūñ nahīñ
lag ga.iiñ kyā is ke bhī baisākhiyāñ
tezī se ye vaqt Dhaltā kyoñ nahīñ
dil to kab se chāhtā hai dosto
jo bhī karnā hai karūñ sochūñ nahīñ
jhūTh bhī miT jaa.e merī zaat se
aur koī sach baat bhī likkhūñ nahīñ
ashk aankhon mein hon aur roun nahin
mo'jiza kahiye ise afsun nahin
baal bhar bhi qad se main uchhlun nahin
KHud se chhoTa bhi nazar aaun nahin
din agar din se hon raaten raat si
wahshaton mein is qadar uljhun nahin
lag gain kya is ke bhi baisakhiyan
tezi se ye waqt Dhalta kyon nahin
dil to kab se chahta hai dosto
jo bhi karna hai karun sochun nahin
jhuTh bhi miT jae meri zat se
aur koi sach baat bhi likkhun nahin
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 44)
- Author :Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.