ashk aankhon mein kasak dil mein chhupate honge
ashk aankhon mein kasak dil mein chhupate honge
Sarfraz Khan Nadeem
MORE BYSarfraz Khan Nadeem
ashk āñkhoñ meñ kasak dil meñ chhupāte hoñge
jo ġharībī kī sazā dahr meñ paate hoñge
hādso rok lo raftār zarā tum apnī
mere bachche abhī schōl se aate hoñge
ham to qātil ke madad-gār kaheñge un ko
jo use jhūTī gavāhī se bachāte hoñge
ham ne maanā ki bahut ḳhuub haiñ āñkheñ in kī
niiñd meñ phir bhī mire ḳhvāb satāte hoñge
bhūlne vaale tirī yaad satā.e ham ko
gāhe-gāhe tujhe ham yaad bhī aate hoñge
laash le jaao davā-ḳhāne se ab jald 'nadīm'
log dīdār ko sab ghar mire aate hoñge
ashk aankhon mein kasak dil mein chhupate honge
jo gharibi ki saza dahr mein pate honge
hadso rok lo raftar zara tum apni
mere bachche abhi school se aate honge
hum to qatil ke madad-gar kahenge un ko
jo use jhuTi gawahi se bachate honge
hum ne mana ki bahut KHub hain aankhen in ki
nind mein phir bhi mere KHwab satate honge
bhulne wale teri yaad satae hum ko
gahe-gahe tujhe hum yaad bhi aate honge
lash le jao dawa-KHane se ab jald 'nadim'
log didar ko sab ghar mere aate honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.