ashk-bari nahin furqat mein sharar-bari hai
ashk-bārī nahīñ furqat meñ sharar-bārī hai
aañkh meñ ḳhuun kā qatra hai ki chingārī hai
har nafas ziist guzar jaane kā ġham taarī hai
maut kā ḳhauf bhī ik ruuh kī bīmārī hai
bāvajūde-ki mohabbat koī zanjīr nahīñ
phir bhī dil ko mire ehsās-e-giraftārī hai
kuchh is andāz se us ne ġham-e-furqat baḳhshā
jaise ye bhī koī in.ām-e-vafādārī hai
ġham-e-ḳhāmosh ko be-vaj.h tasallī denā
dil-navāzī kī ye sūrat bhī dil-āzārī hai
roz hālāt badalte haiñ ba-shart-e-taufīq
ziist majmūa-e-āsānī o dushvārī hai
jāgnā 'ishq meñ har ek kī taqdīr nahīñ
niiñd qurbān ho jis par ye vo bedārī hai
kī mire haath se yuuñ nazr-e-bahār us ne qubūl
jaise ye phuul nahīñ hai koī chingārī hai
ik taġhāful se huā 'ishq kā dil ko ehsās
us kī ġhaflat kā natīja mirī hushyārī hai
yuuñ bhī ārā.ish-e-paiham meñ ulajhtā hai koī
ye ḳhud-ārā.ī hai dekho ki ḳhud-āzārī hai
mātam-e-ishq se fursat nahīñ miltī hai 'sabā'
roz-o-shab apnī umīdoñ ko azā-dārī hai
ashk-bari nahin furqat mein sharar-bari hai
aankh mein KHun ka qatra hai ki chingari hai
har nafas zist guzar jaane ka gham tari hai
maut ka KHauf bhi ek ruh ki bimari hai
bawajude-ki mohabbat koi zanjir nahin
phir bhi dil ko mere ehsas-e-giraftari hai
kuchh is andaz se us ne gham-e-furqat baKHsha
jaise ye bhi koi inam-e-wafadari hai
gham-e-KHamosh ko be-wajh tasalli dena
dil-nawazi ki ye surat bhi dil-azari hai
roz haalat badalte hain ba-shart-e-taufiq
zist majmua-e-asani o dushwari hai
jagna 'ishq mein har ek ki taqdir nahin
nind qurban ho jis par ye wo bedari hai
ki mere hath se yun nazr-e-bahaar us ne qubul
jaise ye phul nahin hai koi chingari hai
ek taghaful se hua 'ishq ka dil ko ehsas
us ki ghaflat ka natija meri hushyari hai
yun bhi aaraish-e-paiham mein ulajhta hai koi
ye KHud-arai hai dekho ki KHud-azari hai
matam-e-ishq se fursat nahin milti hai 'saba'
roz-o-shab apni umidon ko aza-dari hai
- Book : Mere Hisse Ki Roshni (Pg. 143)
- Author : Saba Akbarabadi
- Publication : Educational Publishing House (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.