ashk baha le aahen bhar le
ashk bahā le aaheñ bhar le
dil ke bojh ko halkā kar le
maiñ ne tujh se pyaar kiyā hai
jo bhī tujhe karnā ho kar le
ab vo mujh ko bhuul gayā hai
aisī baat kā kaun asar le
ḳhush-kāmī nāyāb huī hai
nākāmī se jholī bhar le
ġham-ḳhvāroñ se ghabrātā hai
aise dil kī kaun ḳhabar le
kal tū maaTī ho jā.egā
jitnā chāhe aaj sañvar le
sab sāthī sairāb hue haiñ
ab tū bhī paimāna bhar le
tujh ko bhī ye haq hai 'sarvar'
chāhe jī le chāhe mar le
ashk baha le aahen bhar le
dil ke bojh ko halka kar le
main ne tujh se pyar kiya hai
jo bhi tujhe karna ho kar le
ab wo mujh ko bhul gaya hai
aisi baat ka kaun asar le
KHush-kaami nayab hui hai
nakaami se jholi bhar le
gham-KHwaron se ghabraata hai
aise dil ki kaun KHabar le
kal tu maTi ho jaega
jitna chahe aaj sanwar le
sab sathi sairab hue hain
ab tu bhi paimana bhar le
tujh ko bhi ye haq hai 'sarwar'
chahe ji le chahe mar le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.