ashk ban kar jo chhalakti rahi miTTi meri
ashk ban kar jo chhalaktī rahī miTTī merī
sho.ale kuchh yuuñ bhī ugaltī rahī miTTī merī
mere hone kā sabab mujh ko batātī lekin
mere pairoñ meñ dhaḌaktī rahī miTTī merī
kuchh to baaqī thā mirī miTTī se rishta merā
merī miTTī ko tarastī rahī miTTī merī
duur pardesh ke taare meñ bhī shabnam kī tarah
merī āñkhoñ meñ chamaktī rahī miTTī merī
lok-nrityoñ ke ka.ī taal suhāne ban kar
mere pairoñ meñ thiraktī rahī miTTī merī
sirf roTī ke liye duur vatan se apne
dar-ba-dar yuuñ hī bhaTaktī rahī miTTī merī
maiñ jahāñ bhī thā merā saath na chhoḌā us ne
zehn meñ mere mahaktī rahī miTTī merī
koshisheñ jitnī bachāne kī ise kī maiñ ne
aur utnī hī dhaḌaktī rahī miTTī merī
ashk ban kar jo chhalakti rahi miTTi meri
shoale kuchh yun bhi ugalti rahi miTTi meri
mere hone ka sabab mujh ko batati lekin
mere pairon mein dhaDakti rahi miTTi meri
kuchh to baqi tha meri miTTi se rishta mera
meri miTTi ko tarasti rahi miTTi meri
dur pardesh ke tare mein bhi shabnam ki tarah
meri aankhon mein chamakti rahi miTTi meri
lok-nrityon ke kai tal suhane ban kar
mere pairon mein thirakti rahi miTTi meri
sirf roTi ke liye dur watan se apne
dar-ba-dar yun hi bhaTakti rahi miTTi meri
main jahan bhi tha mera sath na chhoDa us ne
zehn mein mere mahakti rahi miTTi meri
koshishen jitni bachane ki ise ki main ne
aur utni hi dhaDakti rahi miTTi meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.