ashk-e-KHun dard ke ghammaz nazar aate hain
ashk-e-ḳhūñ dard ke ġhammāz nazar aate haiñ
faash hote mire sab raaz nazar aate haiñ
vus'at-e-dahr meñ har chashm-e-haqīqat-bīñ ko
har taraf 'ishq ke e’jāz nazar aate haiñ
ye mah-o-mehr ye anjum ye zamīñ aur ye falak
mere rūThe hue dam-sāz nazar aate haiñ
muntazir ahl-e-nazar ke haiñ ye ġhunche shāyad
hama-tan gosh-bar-āvāz nazar aate haiñ
ġham-e-jānāñ ko bhulā degā diloñ se jaise
ġham-e-daurāñ ke ye andāz nazar aate haiñ
sāz-e-fitrat pe larazte haiñ jo ġhamgīñ naġhme
kisī ġham-dīda kī āvāz nazar aate haiñ
nit-na.e ilm-o-hunar ke ye karishme 'farhat'
kisī tūfān kā āġhāz nazar aate haiñ
ashk-e-KHun dard ke ghammaz nazar aate hain
fash hote mere sab raaz nazar aate hain
wus'at-e-dahr mein har chashm-e-haqiqat-bin ko
har taraf 'ishq ke e’jaz nazar aate hain
ye mah-o-mehr ye anjum ye zamin aur ye falak
mere ruThe hue dam-saz nazar aate hain
muntazir ahl-e-nazar ke hain ye ghunche shayad
hama-tan gosh-bar-awaz nazar aate hain
gham-e-jaanan ko bhula dega dilon se jaise
gham-e-dauran ke ye andaz nazar aate hain
saz-e-fitrat pe larazte hain jo ghamgin naghme
kisi gham-dida ki aawaz nazar aate hain
nit-nae ilm-o-hunar ke ye karishme 'farhat'
kisi tufan ka aaghaz nazar aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.