ashk-e-mazlum pe ye soch ke KHandan hona
ashk-e-mazlūm pe ye soch ke ḳhandāñ honā
vaqt qatroñ ko sikhā detā hai tūfāñ honā
maiñ pareshāñ huuñ zarūrī thā pareshāñ honā
kyūñki ik jurm hai is daur meñ insāñ honā
vaise hī ālam-e-hastī pe haiñ ġham ke saa.e
aur phir aap kī zulfoñ kā pareshāñ honā
phir kisī zulm kī buniyād paḌī hai logo
be-sabab to nahīñ zālim kā pashemāñ honā
mere hālāt-e-pareshāñ ko duā.eñ diije
aa gayā aap kī zulfoñ ko pareshāñ honā
chārāgar yuuñ mujhe taskīn diye jaate haiñ
jaise mumkin hai mire dard kā darmāñ honā
ḳhaar haiñ lāla-o-gul us kī nazar meñ 'raunaq'
jis ne dekhā hai gulistāñ kā bayābāñ honā
ashk-e-mazlum pe ye soch ke KHandan hona
waqt qatron ko sikha deta hai tufan hona
main pareshan hun zaruri tha pareshan hona
kyunki ek jurm hai is daur mein insan hona
waise hi aalam-e-hasti pe hain gham ke sae
aur phir aap ki zulfon ka pareshan hona
phir kisi zulm ki buniyaad paDi hai logo
be-sabab to nahin zalim ka pasheman hona
mere haalat-e-pareshan ko duaen dije
aa gaya aap ki zulfon ko pareshan hona
chaaragar yun mujhe taskin diye jate hain
jaise mumkin hai mere dard ka darman hona
KHar hain lala-o-gul us ki nazar mein 'raunaq'
jis ne dekha hai gulistan ka bayaban hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.