ashk hun aah hun aatish hun ki aKHgar dekho
ashk huuñ aah huuñ ātish huuñ ki aḳhgar dekho
kyā huuñ maiñ dosto aao mujhe chhū kar dekho
soch ke ġhaar se ik shor uThā hai to sahī
ab kahāñ jā ke Thahartā hai ye lashkar dekho
maiñ ne maanā ki gagan phuul kī kashtī hai magar
apnī dhartī pe bhī kuchh duur to chal kar dekho
maiñ ne jo sang uchhālā vahī sūraj niklā
Dūbtī rut ke dahakte hue tevar dekho
dil ki dīpak thā kabhī aaj hai dāġhoñ kā khañDar
kitne rang aur dikhātā hai muqaddar dekho
gul se ḳhushbū hī agar ruuTh ga.ī ho 'at.har'
phir to bas ek mahaktā huā patthar dekho
ashk hun aah hun aatish hun ki aKHgar dekho
kya hun main dosto aao mujhe chhu kar dekho
soch ke ghaar se ek shor uTha hai to sahi
ab kahan ja ke Thaharta hai ye lashkar dekho
main ne mana ki gagan phul ki kashti hai magar
apni dharti pe bhi kuchh dur to chal kar dekho
main ne jo sang uchhaala wahi suraj nikla
Dubti rut ke dahakte hue tewar dekho
dil ki dipak tha kabhi aaj hai daghon ka khanDar
kitne rang aur dikhata hai muqaddar dekho
gul se KHushbu hi agar ruTh gai ho 'athar'
phir to bas ek mahakta hua patthar dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.