ashk is shan se kuchh dar-e-palak par nikle
ashk is shaan se kuchh dār-e-palak par nikle
jis tarah zulm kī bastī se payambar nikle
mauja-e-dard kabhī aah meñ Dhal kar nikle
jāma-e-abr meñ jis tarah samundar nikle
ham ki shākī the shab-e-rafta ke paikāñ se magar
roz-e-raushan tire hāthoñ meñ bhī ḳhanjar nikle
maiñ jinheñ gauhar-e-nāyāb samajh baiThā thā
haath meñ le ke jo dekhā to vo patthar nikle
kis ke māthe ko kahūñ apne lahū kī taqdīr
mere qātil mire apne hī barādar nikle
un ke har va.ade pe ummīd kā ḳhuuñ hotā rahā
un ke va.ade bhī mire daur ke rahbar nikle
dhuup jin zarroñ ko detī rahī jalne kā payām
raat aa.ī to vahī sūrat-e-aḳhtar nikle
dāman-e-shab pe gire ashk jo taare ban kar
sīna-e-shāḳh se ubhre to vo aḳhgar nikle
marmarīñ jism sharāboñ kī mahak dast-e-havas
raat bhīgī to ka.ī rang ke manzar nikle
chashm-e-duniyā meñ jo miTTī ke piyāle the faqat
dast-e-sāqī meñ jo pahuñche to vo 'sāġhar' nikle
ashk is shan se kuchh dar-e-palak par nikle
jis tarah zulm ki basti se payambar nikle
mauja-e-dard kabhi aah mein Dhal kar nikle
jama-e-abr mein jis tarah samundar nikle
hum ki shaki the shab-e-rafta ke paikan se magar
roz-e-raushan tere hathon mein bhi KHanjar nikle
main jinhen gauhar-e-nayab samajh baiTha tha
hath mein le ke jo dekha to wo patthar nikle
kis ke mathe ko kahun apne lahu ki taqdir
mere qatil mere apne hi baradar nikle
un ke har wade pe ummid ka KHun hota raha
un ke wade bhi mere daur ke rahbar nikle
dhup jin zarron ko deti rahi jalne ka payam
raat aai to wahi surat-e-aKHtar nikle
daman-e-shab pe gire ashk jo tare ban kar
sina-e-shaKH se ubhre to wo aKHgar nikle
marmarin jism sharabon ki mahak dast-e-hawas
raat bhigi to kai rang ke manzar nikle
chashm-e-duniya mein jo miTTi ke piyale the faqat
dast-e-saqi mein jo pahunche to wo 'saghar' nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.