ashk ko chain se donon hi ne rahne na diya
ashk ko chain se donoñ hī ne rahne na diyā
ġham ne rukne na diyā zabt ne bahne na diyā
aah bhī ġham meñ na kī ashk bhī bahne na diyā
terī furqat ne mujhe chain se rahne na diyā
mere afsāne ke har lafz meñ ik mahshar thā
vo to achchhā huā tum ne mujhe kahne na diyā
jis taraf chāhā adāoñ se mujhe moḌ liyā
tum ne ik baat pe qaa.em mujhe rahne na diyā
ham ne Tapkā diye palkoñ se ḳhushī ke aañsū
phuul kāñToñ kī hifāzat meñ bhī rahne na diyā
sāqī-e-mast kī sirf ek jhalak hī dekhī
aañkh milte hī mujhe hosh meñ rahne na diyā
vahshat-e-dil mujhe duniyā meñ liye phirtī hai
mire mahbūb ne mujh ko kahīñ rahne na diyā
ham ne buniyād-e-mohabbat jahāñ rakkhī 'nashtar'
ham ko logoñ ne vahāñ chain se rahne na diyā
ashk ko chain se donon hi ne rahne na diya
gham ne rukne na diya zabt ne bahne na diya
aah bhi gham mein na ki ashk bhi bahne na diya
teri furqat ne mujhe chain se rahne na diya
mere afsane ke har lafz mein ek mahshar tha
wo to achchha hua tum ne mujhe kahne na diya
jis taraf chaha adaon se mujhe moD liya
tum ne ek baat pe qaem mujhe rahne na diya
hum ne Tapka diye palkon se KHushi ke aansu
phul kanTon ki hifazat mein bhi rahne na diya
saqi-e-mast ki sirf ek jhalak hi dekhi
aankh milte hi mujhe hosh mein rahne na diya
wahshat-e-dil mujhe duniya mein liye phirti hai
mere mahbub ne mujh ko kahin rahne na diya
hum ne buniyaad-e-mohabbat jahan rakkhi 'nashtar'
hum ko logon ne wahan chain se rahne na diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.