ashk ko lafz mein late hue ro paDta hun
ashk ko lafz meñ laate hue ro paḌtā huuñ
hāl-e-dil us ko sunāte hue ro paḌtā huuñ
dasht meñ phuul khilātī hai havā chupke se
aur maiñ rang uThāte hue ro paḌtā huuñ
āsmāñ sub.h talak ḳhvāb meñ Dhal jaatā hai
maiñ sitāroñ ko bujhāte hue ro paḌtā huuñ
tar-ba-tar ḳhuun meñ Duubā hai vajūd-e-hastī
sar-ba-sar ḳhaak uḌāte hue ro paḌtā huuñ
apnī sūrat pe kabhī ḳhud bhī nazar kartā kaash
aa.ina jis ko dikhāte hue ro paḌtā huuñ
ashk ko lafz mein late hue ro paDta hun
haal-e-dil us ko sunate hue ro paDta hun
dasht mein phul khilati hai hawa chupke se
aur main rang uThate hue ro paDta hun
aasman subh talak KHwab mein Dhal jata hai
main sitaron ko bujhate hue ro paDta hun
tar-ba-tar KHun mein Duba hai wajud-e-hasti
sar-ba-sar KHak uDate hue ro paDta hun
apni surat pe kabhi KHud bhi nazar karta kash
aaina jis ko dikhate hue ro paDta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.