ashk pine na dard khane se
ashk piine na dard khāne se
ishq paltā hai ḳhuuñ pilāne se
kaise kah duuñ tumhārī yaad se maiñ
jā nikal jā mire fasāne se
apne dar par maiñ ek aahaT kā
muntazir huuñ baḌe zamāne se
mere ghar meñ hai ek merā vajūd
aur bartan haiñ kuchh purāne se
roz karte haiñ bazm meñ rusvā
ashk chhupte nahīñ chhupāne se
jī rahā huuñ ki mar gayā huuñ maiñ
dekh jaatā hai vo bahāne se
mas.ale hal hue hazāroñ 'amīn'
ek āvāz ke uThāne se
ashk pine na dard khane se
ishq palta hai KHun pilane se
kaise kah dun tumhaari yaad se main
ja nikal ja mere fasane se
apne dar par main ek aahaT ka
muntazir hun baDe zamane se
mere ghar mein hai ek mera wajud
aur bartan hain kuchh purane se
roz karte hain bazm mein ruswa
ashk chhupte nahin chhupane se
ji raha hun ki mar gaya hun main
dekh jata hai wo bahane se
masale hal hue hazaron 'amin'
ek aawaz ke uThane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.