ashk ruḳhsār ko dhotā to suḳhnavar hotā
meñ salīqe se jo rotā to suḳhnavar hotā
chashm-e-hairat meñ bhī raqsāñ thī jhaḌī ashkoñ kī
apne dāman ko bhigotā to suḳhnavar hotā
Dūbte shams ke hoñToñ se zafar zāhir thī
is tabassum ko sañjotā to suḳhnavar hotā
dasht-e-tanhā.ī meñ ye uñgliyāñ kuchh der apnī
ḳhūn-e-dil meñ jo Dubotā to suḳhnavar hotā
der tak chāñdnī sāhil pe thī raqsāñ afsos
meñ isī jhiil pe hotā to suḳhnavar hotā
mere ehsās ne siine se nichoḌā hai araq
is meñ lafzoñ ko Dubotā to suḳhnavar hotā
vādī-e-habs meñ ukhḌī thī fazā kī sāñseñ
lafz qirtās pe botā to suḳhnavar hotā
jāgne vāloñ ne 'ālam' ko badal Daalā hai
meñ zarā der na sotā to suḳhnavar hotā
ashk ruKHsar ko dhota to suKHnawar hota
mein saliqe se jo rota to suKHnawar hota
chashm-e-hairat mein bhi raqsan thi jhaDi ashkon ki
apne daman ko bhigota to suKHnawar hota
Dubte shams ke honTon se zafar zahir thi
is tabassum ko sanjota to suKHnawar hota
dasht-e-tanhai mein ye ungliyan kuchh der apni
KHun-e-dil mein jo Dubota to suKHnawar hota
der tak chandni sahil pe thi raqsan afsos
mein isi jhil pe hota to suKHnawar hota
mere ehsas ne sine se nichoDa hai araq
is mein lafzon ko Dubota to suKHnawar hota
wadi-e-habs mein ukhDi thi faza ki sansen
lafz qirtas pe bota to suKHnawar hota
jagne walon ne 'alam' ko badal Dala hai
mein zara der na sota to suKHnawar hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.