ashk se dariya hua dariya se tufan ho gaya
ashk se dariya hua dariya se tufan ho gaya
Bhagwan Khilnani Saqi
MORE BYBhagwan Khilnani Saqi
ashk se dariyā huā dariyā se tūfāñ ho gayā
kashtī-e-‘umr-e-ravāñ kā sāz-o-sāmāñ ho gayā
fasl-e-gul meñ dil kī vahshat kā jo sāmāñ ho gayā
chaak dāman ho gayā purze garebāñ ho gayā
daf'atan us ne ruḳh-e-raushan se jab ulTī naqāb
ek merī baat kyā 'ālam bhī hairāñ ho gayā
yuuñ bazāhir barq kī puurī huī ḳhvāhish magar
āshiyāna jal ke ḳhud gulshan pe qurbāñ ho gayā
ab rihā.ī kī koī sūrat nazar aatī nahīñ
murġh-e-dil merā asīr-e-zulf-e-pechāñ ho gayā
ranj-o-ġham dard-o-alam 'sāqī' ne apne de diye
merī ḳhātir ḳhuub āsā.ish kā sāmāñ ho gayā
ashk se dariya hua dariya se tufan ho gaya
kashti-e-‘umr-e-rawan ka saz-o-saman ho gaya
fasl-e-gul mein dil ki wahshat ka jo saman ho gaya
chaak daman ho gaya purze gareban ho gaya
daf'atan us ne ruKH-e-raushan se jab ulTi naqab
ek meri baat kya 'alam bhi hairan ho gaya
yun bazahir barq ki puri hui KHwahish magar
aashiyana jal ke KHud gulshan pe qurban ho gaya
ab rihai ki koi surat nazar aati nahin
murgh-e-dil mera asir-e-zulf-e-pechan ho gaya
ranj-o-gham dard-o-alam 'saqi' ne apne de diye
meri KHatir KHub aasaish ka saman ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.