ashk Tapka na meri aankh mein KHun aaya hai
ashk Tapkā na mirī aañkh meñ ḳhuuñ aayā hai
muddatoñ baa'd kahīñ dil ko sukūñ aayā hai
is liye hai mire ash'ār meñ ġham kī shiddat
mere hisse meñ tirā dard-e-fuzūñ aayā hai
ret par paḌne lagīñ ḳhuuñ kī phuvāreñ yak-dam
koī is tarh sar-e-dasht-e-junūñ aayā hai
gar tire yaar tujhe zahr nahīñ de sakte
kyoñ jigar kaT ke tirā muñh se barūñ aayā hai
fā.eda kuchh bhī nahīñ hogā rafū karne se
zaḳhm is baar mujhe itnā darūñ aayā hai
vo parī dekh ke mā'lūm huā hai mujh ko
kaun is shahr pe karne ko fusūñ aayā hai
maiñ mohabbat meñ kabhī shirk nahīñ kar saktā
tū mukammal mire me'yār pe yuuñ aayā hai
ham se mahrūmoñ ko itnā to batāyā jaa.e
ai ḳhudā kis ke liye kun-fayakūñ aayā hai
ashk Tapka na meri aankh mein KHun aaya hai
muddaton ba'd kahin dil ko sukun aaya hai
is liye hai mere ash'ar mein gham ki shiddat
mere hisse mein tera dard-e-fuzun aaya hai
ret par paDne lagin KHun ki phuwaren yak-dam
koi is tarh sar-e-dasht-e-junun aaya hai
gar tere yar tujhe zahr nahin de sakte
kyon jigar kaT ke tera munh se barun aaya hai
faeda kuchh bhi nahin hoga rafu karne se
zaKHm is bar mujhe itna darun aaya hai
wo pari dekh ke ma'lum hua hai mujh ko
kaun is shahr pe karne ko fusun aaya hai
main mohabbat mein kabhi shirk nahin kar sakta
tu mukammal mere me'yar pe yun aaya hai
hum se mahrumon ko itna to bataya jae
ai KHuda kis ke liye kun-fayakun aaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.