ashk ye ponchhte rahe barson
ashk ye poñchhte rahe barsoñ
tum kise sochte rahe barsoñ
us ne sochā nahīñ bichhaḌte vaqt
ham yahī sochte rahe barsoñ
zaḳhm rote rahe mohabbat ke
ashk ham poñchhte rahe barsoñ
bhuul jaanā hai ab hameñ us ko
ham yahī bhūlte rahe barsoñ
dard-e-dil hai yā dard hī dil hai
bas yahī sochte rahe barsoñ
vo thā bādal jo jhuum kar aaya
aur ham bhīgte rahe barsoñ
sang thā vo ḳhudā nahīñ thā 'navāz'
tum jise pūjte rahe barsoñ
ashk ye ponchhte rahe barson
tum kise sochte rahe barson
us ne socha nahin bichhaDte waqt
hum yahi sochte rahe barson
zaKHm rote rahe mohabbat ke
ashk hum ponchhte rahe barson
bhul jaana hai ab hamein us ko
hum yahi bhulte rahe barson
dard-e-dil hai ya dard hi dil hai
bas yahi sochte rahe barson
wo tha baadal jo jhum kar aaya
aur hum bhigte rahe barson
sang tha wo KHuda nahin tha 'nawaz'
tum jise pujte rahe barson
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.