ashk yun bahte hain sawan ki jhaDi ho jaise
ashk yuuñ bahte haiñ sāvan kī jhaḌī ho jaise
yā kahīñ pahle-pahal aañkh laḌī ho jaise
kitnī yādoñ ne satāyā hai mirī yaad ke saath
ġham-e-daurāñ ġham-e-jānāñ kī kaḌī ho jaise
bū-e-kākul kī tarah phail gayā shab kā sukūt
terī aamad bhī qayāmat kī ghaḌī ho jaise
yuuñ nazar aate haiñ iḳhlās meñ Duube hue dost
dushmanoñ par koī uftād paḌī ho jaise
jalva-e-dār idhar jannat-e-dīdār udhar
zindagī aaj dorāhe pe khaḌī ho jaise
yuuñ ḳhayāl aate hī har saañs meñ mahsūs huā
ġham-e-mahbūb tirī umr baḌī ho jaise
ashk yun bahte hain sawan ki jhaDi ho jaise
ya kahin pahle-pahal aankh laDi ho jaise
kitni yaadon ne sataya hai meri yaad ke sath
gham-e-dauran gham-e-jaanan ki kaDi ho jaise
bu-e-kakul ki tarah phail gaya shab ka sukut
teri aamad bhi qayamat ki ghaDi ho jaise
yun nazar aate hain iKHlas mein Dube hue dost
dushmanon par koi uftad paDi ho jaise
jalwa-e-dar idhar jannat-e-didar udhar
zindagi aaj dorahe pe khaDi ho jaise
yun KHayal aate hi har sans mein mahsus hua
gham-e-mahbub teri umr baDi ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.