ashkon ke samundar mein sanson ka safina hai
ashkoñ ke samundar meñ sāñsoñ kā safīna hai
jiinā hai to hañs hañs kar har dard ko piinā hai
dekhe haiñ bahut apne hāthoñ meñ liye ḳhanjar
dhuñdle haiñ bahut raste bach ke hameñ jiinā hai
dekho to samay kaisā aayā hai jahāñ vaalo
mai mahñgī huī sastā ab ḳhuun pasīna hai
nafrat bharī duniyā meñ ūñchī huiiñ dīvāreñ
zevar kī dukānoñ meñ ab naqlī nagīna hai
ummīd kareñ kis se har shaḳhs pareshāñ hai
ye chāk-e-jigar ham ko ab aap hī siinā hai
ashkon ke samundar mein sanson ka safina hai
jina hai to hans hans kar har dard ko pina hai
dekhe hain bahut apne hathon mein liye KHanjar
dhundle hain bahut raste bach ke hamein jina hai
dekho to samay kaisa aaya hai jahan walo
mai mahngi hui sasta ab KHun pasina hai
nafrat bhari duniya mein unchi huin diwaren
zewar ki dukanon mein ab naqli nagina hai
ummid karen kis se har shaKHs pareshan hai
ye chaak-e-jigar hum ko ab aap hi sina hai
- Book : مٹھی بھر چاندنی (Pg. 88)
- Author : ریکھا راج ونشی
- Publication : 20دوسری منزل پٹ پڑ گنج گاؤں،نئی دہلی۔110091 (2016)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.