ashkon ki barsaten le kar log mile
ashkoñ kī barsāteñ le kar log mile
ġham meñ bhīgī rāteñ le kar log mile
puurī ek kahānī kaise ban paatī
qatra qatra bāteñ le kar log mile
bhar paate nāsūr diloñ ke kaise jab
zahr bujhī sauġhāteñ le kar log mile
ab ġhairoñ se kyā shikvā karne jaa.eñ
apnoñ ko hī māteñ de kar log chale
āshiq kā TuuTā dil koī kyoñ dekhe
jab apnī bārāteñ le kar log mile
ashkon ki barsaten le kar log mile
gham mein bhigi raaten le kar log mile
puri ek kahani kaise ban pati
qatra qatra baaten le kar log mile
bhar pate nasur dilon ke kaise jab
zahr bujhi saughaten le kar log mile
ab ghairon se kya shikwa karne jaen
apnon ko hi maten de kar log chale
aashiq ka TuTa dil koi kyon dekhe
jab apni baraaten le kar log mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.