ashkon ki ghanghor ghaTa hai
ashkoñ kī ghanghor ghaTā hai
nain samundar kaañp rahā hai
ghor añdherā hai to kyā hai
raat kā sūraj chamak rahā hai
kashtī koī Duub na jaa.e
shoḳh samundar umaD rahā hai
zulm kī duniyā zard-ālūda
sabr kī duniyā sabz-numā hai
jañgal-jañgal raushan-raushan
apnā dil kyoñ bujhā bujhā hai
dil kā chehra raushan-raushan
lagtā hai mahtāb huā hai
dāġh-e-furqat aur farozāñ
jab bhī charāġh-e-yād jalā hai
karb kī ḳhushbū aur baḌhegī
dil meñ ab ye phuul khilā hai
duniyā ke ġham bhuul gayā huuñ
terā tasavvur hosh-rubā hai
'aḳhtar' jī kī suḳhanvarī meñ
rañg-e-taġhazzul bol rahā hai
ashkon ki ghanghor ghaTa hai
nain samundar kanp raha hai
ghor andhera hai to kya hai
raat ka suraj chamak raha hai
kashti koi Dub na jae
shoKH samundar umaD raha hai
zulm ki duniya zard-aluda
sabr ki duniya sabz-numa hai
jangal-jangal raushan-raushan
apna dil kyon bujha bujha hai
dil ka chehra raushan-raushan
lagta hai mahtab hua hai
dagh-e-furqat aur farozan
jab bhi charagh-e-yaad jala hai
karb ki KHushbu aur baDhegi
dil mein ab ye phul khila hai
duniya ke gham bhul gaya hun
tera tasawwur hosh-ruba hai
'aKHtar' ji ki suKHanwari mein
rang-e-taghazzul bol raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.