ashkon ko apni aankh mein paiham liye hue
ashkoñ ko apnī aañkh meñ paiham liye hue
ham chal rahe haiñ jaise sharābī piye hue
kyā jaane kyā huā hai ki dīvāna ro paḌā
lailā ga.ī hai dasht se parda kiye hue
ab ke shab-e-firāq kā aalam na pochhiye
māyūs ab sahar se hamāre diye hue
ye irtiqā hai un kā ki pastī kī ibtidā
bainassutūr the jo vo ab hāshiye hue
ilzām ham pe rakh ke vo uTThe chale ga.e
baiThe rahe ham apne laboñ ko siye hue
ab intizār-e-nāma-barāñ ḳhatm ho chukā
nā-paid apne shahr se ab Dākiye hue
achchhī zamīñ meñ sher bhī achchhe hue magar
'dānish' kamāl tang tire qāfiye hue
ashkon ko apni aankh mein paiham liye hue
hum chal rahe hain jaise sharabi piye hue
kya jaane kya hua hai ki diwana ro paDa
laila gai hai dasht se parda kiye hue
ab ke shab-e-firaq ka aalam na pochhiye
mayus ab sahar se hamare diye hue
ye irtiqa hai un ka ki pasti ki ibtida
bainassutur the jo wo ab hashiye hue
ilzam hum pe rakh ke wo uTThe chale gae
baiThe rahe hum apne labon ko siye hue
ab intizar-e-nama-baran KHatm ho chuka
na-paid apne shahr se ab Dakiye hue
achchhi zamin mein sher bhi achchhe hue magar
'danish' kamal tang tere qafiye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.