ashkon ko tere dar pe baha kar chale gae
ashkoñ ko tere dar pe bahā kar chale ga.e
sapne hazār dil meñ dabā kar chale ga.e
yak-tarfa ho ke rah ga.ī chāhat vafā merī
āñkhoñ meñ ashk apne chhupā kar chale ga.e
TuuTā hai be-ruḳhī se tirī aaj merā dil
chupke se zaḳhm dil kā baḌhā kar chale ga.e
un kī nazar meñ dil mirā anmol thā kabhī
pairoñ tale vo dil ko dabā kar chale ga.e
un se koī gila hai na qismat ko koī dosh
ḳhushiyāñ tirī 'shagufta' jalā kar chale ga.e
ashkon ko tere dar pe baha kar chale gae
sapne hazar dil mein daba kar chale gae
yak-tarfa ho ke rah gai chahat wafa meri
aankhon mein ashk apne chhupa kar chale gae
TuTa hai be-ruKHi se teri aaj mera dil
chupke se zaKHm dil ka baDha kar chale gae
un ki nazar mein dil mera anmol tha kabhi
pairon tale wo dil ko daba kar chale gae
un se koi gila hai na qismat ko koi dosh
KHushiyan teri 'shagufta' jala kar chale gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.