ashkon mein kisi gham se jo Dhal jati hain aankhen
ashkoñ meñ kisī ġham se jo Dhal jaatī haiñ āñkheñ
phir jhiil se dariyā meñ badal jaatī haiñ āñkheñ
maiñ rāsta chalte hue rah jaatā huuñ pīchhe
aur mujh se kahīñ aage nikal jaatī haiñ āñkheñ
is daur-e-sitam-gār meñ ab kyā nahīñ hotā
dil jab bhī badalte haiñ badal jaatī haiñ āñkheñ
kyoñ dil ke nihāñ-ḳhāne meñ ab dard na uTThe
kyoñ TuuTe khilaunoñ se bahal jaatī haiñ āñkheñ
'fārūq' mujhe donoñ ne barbād kiyā hai
qaabū jo karūñ dil ko machal jaatī haiñ āñkheñ
ashkon mein kisi gham se jo Dhal jati hain aankhen
phir jhil se dariya mein badal jati hain aankhen
main rasta chalte hue rah jata hun pichhe
aur mujh se kahin aage nikal jati hain aankhen
is daur-e-sitam-gar mein ab kya nahin hota
dil jab bhi badalte hain badal jati hain aankhen
kyon dil ke nihan-KHane mein ab dard na uTThe
kyon TuTe khilaunon se bahal jati hain aankhen
'faruq' mujhe donon ne barbaad kiya hai
qabu jo karun dil ko machal jati hain aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.