ashkon ne yun shor machaya aankhon ke paimanon mein
ashkoñ ne yuuñ shor machāyā āñkhoñ ke paimānoñ meñ
jaise bauchhāreñ barsīñ hoñ Tiin paḌe dālānoñ meñ
sūraj kā sab zo'm takabbur lamhoñ meñ bhar lete haiñ
bādal ke kuchh ziddī TukḌe apne ThanDe shānoñ meñ
ummīdoñ ke diip jalā.e āñkhoñ meñ chhoTī chhoTī
hañste haiñ kuchh bhūke bachche ġhurbat ke zindānoñ meñ
nafrat dhokā buġhz ta.assub jhuuT dikhāvā ḳhud-ġharazī
kaise kaise zahr bhare haiñ insāñ kī shiryānoñ meñ
bachpan kī ik dost qarībī jis jhagḌe meñ rūThī thī
aaj bhī hai vo TuuTī guḌiyā yādoñ ke sāmānoñ meñ
lailā majnūñ ke qisse ab sandūqoñ meñ band hue
ishq mohabbat vaalī ġhazleñ bosīda dīvānoñ meñ
jangal vaale ḳhūn-ḳharābe jhūTī bāteñ lagtī haiñ
insānoñ kī bastī kī hai dhuum machī haivānoñ meñ
ashkon ne yun shor machaya aankhon ke paimanon mein
jaise bauchhaaren barsin hon Tin paDe dalanon mein
suraj ka sab zo'm takabbur lamhon mein bhar lete hain
baadal ke kuchh ziddi TukDe apne ThanDe shanon mein
ummidon ke dip jalae aankhon mein chhoTi chhoTi
hanste hain kuchh bhuke bachche ghurbat ke zindanon mein
nafrat dhoka bughz tassub jhuT dikhawa KHud-gharazi
kaise kaise zahr bhare hain insan ki shiryanon mein
bachpan ki ek dost qaribi jis jhagDe mein ruThi thi
aaj bhi hai wo TuTi guDiya yaadon ke samanon mein
laila majnun ke qisse ab sanduqon mein band hue
ishq mohabbat wali ghazlen bosida diwanon mein
jangal wale KHun-KHarabe jhuTi baaten lagti hain
insanon ki basti ki hai dhum machi haiwanon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.