ashkon pe iKHtiyar in aankhon ne kho diya
ashkoñ pe iḳhtiyār in āñkhoñ ne kho diyā
ik mauj-e-yād-e-yār ne mujh ko Dubo diyā
palkoñ pe jab bhī ḳhvāb kī koī kalī khilī
anjām-e-gul ne ḳhauf kā nashtar chubho diyā
is zindagī se ham ne taqāze nahīñ kiye
chup-chāp rakh liyā hai sadā us ne jo diyā
phir yuuñ huā ki zabt kī had TūTne lagī
hañsnā muhāl hone lagā jab maiñ ro diyā
ai shaḳhs tujh se tark-e-ta'alluq kā ġham nahīñ
ġham ye hai maiñ ne ḳhud ko tire saath kho diyā
kahte the log rāh-e-mohabbat meñ phuul haiñ
kāñToñ ko kis ne phir mirī rāhoñ meñ bo diyā
ashkon pe iKHtiyar in aankhon ne kho diya
ek mauj-e-yaad-e-yar ne mujh ko Dubo diya
palkon pe jab bhi KHwab ki koi kali khili
anjam-e-gul ne KHauf ka nashtar chubho diya
is zindagi se hum ne taqaze nahin kiye
chup-chap rakh liya hai sada us ne jo diya
phir yun hua ki zabt ki had TuTne lagi
hansna muhaal hone laga jab main ro diya
ai shaKHs tujh se tark-e-ta'alluq ka gham nahin
gham ye hai main ne KHud ko tere sath kho diya
kahte the log rah-e-mohabbat mein phul hain
kanTon ko kis ne phir meri rahon mein bo diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.