ashkon se tapish sine ki hoti hai ayan aur
ashkoñ se tapish siine kī hotī hai ayaañ aur
jab aag bujhātā huuñ to hotā hai dhuāñ aur
haiñ ek hī gulshan meñ magar farq to dekho
phūloñ kā jahāñ aur hai kāñToñ kā jahāñ aur
shāyad ye karishma hai mire naqsh-e-vafā kā
vo jitnā miTāte haiñ ubhartā hai nishāñ aur
sar apnā uThā luuñ jo dar-e-yār se nāseh
sajda ye mohabbat kā adā hogā kahāñ aur
ab faiz-e-bahārāñ kī karūñ ḳhaak tamanna
maiñ fasl-e-bahārāñ meñ huuñ pāmāl-e-ḳhizāñ aur
kuchh aur bikhar jaa.eñ jo ruḳh par tirī zulfeñ
chhā jaa.e ujāle pe añdhere kā samāñ aur
dāġh-e-jigar-o-dil hī nahīñ diid ke qābil
raushan sar-e-mizhgāñ hai sitāroñ kā jahāñ aur
ik arz-e-tamannā pe huā shor-e-qayāmat
kyā hogā 'azīz' aap ne kholī jo zabāñ aur
ashkon se tapish sine ki hoti hai ayan aur
jab aag bujhata hun to hota hai dhuan aur
hain ek hi gulshan mein magar farq to dekho
phulon ka jahan aur hai kanTon ka jahan aur
shayad ye karishma hai mere naqsh-e-wafa ka
wo jitna miTate hain ubharta hai nishan aur
sar apna uTha lun jo dar-e-yar se naseh
sajda ye mohabbat ka ada hoga kahan aur
ab faiz-e-bahaaran ki karun KHak tamanna
main fasl-e-bahaaran mein hun pamal-e-KHizan aur
kuchh aur bikhar jaen jo ruKH par teri zulfen
chha jae ujale pe andhere ka saman aur
dagh-e-jigar-o-dil hi nahin did ke qabil
raushan sar-e-mizhgan hai sitaron ka jahan aur
ek arz-e-tamanna pe hua shor-e-qayamat
kya hoga 'aziz' aap ne kholi jo zaban aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.