ashkon se wo aasman bhara tha
ashkoñ se vo āsmāñ bharā thā
dil dard se jhilmilā gayā thā
vo zaḳhm bahāl thā badan par
paivand libās meñ lagā thā
us chāñd kī raushnī judā thī
us raat kā rang bhī nayā thā
ḳhāmosh thiiñ sarsarāhaTeñ bhī
ik lams ne shor jab kiyā thā
koñpal pe dhanak chamak rahī thī
us sharm ko rang chūmtā thā
shīshe kī rageñ chaTaḳh rahī thiiñ
sāñsoñ se ġhubār chhā rahā thā
gul-dān meñ khil rahī thī hairat
kamre meñ sukūt chhā gayā thā
hairat se bikhar rahī thī ḳhushbū
ḳhushbū kā hijāb utar chukā thā
ik lau pe utar rahī thī shabnam
ik phuul charāġh meñ jalā thā
sāñseñ ho rahī thiiñ be-tavāzun
sho'loñ pe dhamāl ho rahā thā
nazdīk kahāñ thā is qadar vo
ḳhvāboñ pe muhīt fāsla thā
maiñ ḳhvāb samajh rahā thā jis ko
dar-asl junūñ kā irtiqā thā
ashkon se wo aasman bhara tha
dil dard se jhilmila gaya tha
wo zaKHm bahaal tha badan par
paiwand libas mein laga tha
us chand ki raushni juda thi
us raat ka rang bhi naya tha
KHamosh thin sarsarahaTen bhi
ek lams ne shor jab kiya tha
konpal pe dhanak chamak rahi thi
us sharm ko rang chumta tha
shishe ki ragen chaTaKH rahi thin
sanson se ghubar chha raha tha
gul-dan mein khil rahi thi hairat
kamre mein sukut chha gaya tha
hairat se bikhar rahi thi KHushbu
KHushbu ka hijab utar chuka tha
ek lau pe utar rahi thi shabnam
ek phul charagh mein jala tha
sansen ho rahi thin be-tawazun
sho'lon pe dhamal ho raha tha
nazdik kahan tha is qadar wo
KHwabon pe muhit fasla tha
main KHwab samajh raha tha jis ko
dar-asl junun ka irtiqa tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.