asir-e-dahr ko isko KHabar rahe na rahe
asīr-e-dahr ko is kī ḳhabar rahe na rahe
ye shab rahe na rahe ye sahar rahe na rahe
badal ga.iiñ yahāñ qadreñ ḳhulūs-o-ulfat kī
vafā-e-ahl-e-junūñ mo'atabar rahe na rahe
bharam nigāh kā jis dīda-var se qaa.em hai
tumhārī bazm meñ vo dīda-var rahe na rahe
sila vafā kā milā kyā vafā ko dekhne ko
kisī nazar meñ vo tāb-e-nazar rahe na rahe
safar to umr kā tai karnā hī paḌegā hameñ
safar meñ chāhe koī ham-safar rahe na rahe
badal na deñ ruḳh-e-ġham hādsāt-e-vaqt kahīñ
ġham-e-habīb bhī ab mo'atabar rahe na rahe
hai garche raushnī-e-sham.a raat bhar kī baat
'zubair' kis ko ḳhabar rāt-bhar rahe na rahe
asir-e-dahr ko is ki KHabar rahe na rahe
ye shab rahe na rahe ye sahar rahe na rahe
badal gain yahan qadren KHulus-o-ulfat ki
wafa-e-ahl-e-junun mo'atabar rahe na rahe
bharam nigah ka jis dida-war se qaem hai
tumhaari bazm mein wo dida-war rahe na rahe
sila wafa ka mila kya wafa ko dekhne ko
kisi nazar mein wo tab-e-nazar rahe na rahe
safar to umr ka tai karna hi paDega hamein
safar mein chahe koi ham-safar rahe na rahe
badal na den ruKH-e-gham hadsat-e-waqt kahin
gham-e-habib bhi ab mo'atabar rahe na rahe
hai garche raushni-e-shama raat bhar ki baat
'zubair' kis ko KHabar raat-bhar rahe na rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.