asir-e-hijr ki aab-o-hawa badalne ko
asīr-e-hijr kī āb-o-havā badalne ko
kabhī ḳhushī bhī mile zā.iqa badalne ko
mirā hijāb sulagtā hai jis kī hiddat se
tum us nazar se kaho zāviya badalne ko
maiñ tere shahr se niklī to muḌ nahīñ dekhā
agarche log mile bār-hā badalne ko
maiñ jis ke naqsh-e-qadam chūmne ko niklī thī
usī ne mujh se kahā rāsta badalne ko
hazār zaḳhm sahe aur phir yahī sochā
chalo ik aur sahī tajraba badalne ko
gar us kā saath mile to sitāre mil jaa.eñ
vo nā-guzīr huā zā.icha badalne ko
mile haiñ ham kabhī phir se judā na hone ko
chalo ye farz kareñ faisla badalne ko
yahāñ pe ḳhud ko badalnā hai gar badalnā hai
so tum se kis ne kahā hai ḳhudā badalne ko
vo ḳhud to kho chukā duniyā kī bhiiḌ meñ 'īmāñ'
mujhe bhī kah gayā apnā patā badalne ko
asir-e-hijr ki aab-o-hawa badalne ko
kabhi KHushi bhi mile zaiqa badalne ko
mera hijab sulagta hai jis ki hiddat se
tum us nazar se kaho zawiya badalne ko
main tere shahr se nikli to muD nahin dekha
agarche log mile bar-ha badalne ko
main jis ke naqsh-e-qadam chumne ko nikli thi
usi ne mujh se kaha rasta badalne ko
hazar zaKHm sahe aur phir yahi socha
chalo ek aur sahi tajraba badalne ko
gar us ka sath mile to sitare mil jaen
wo na-guzir hua zaicha badalne ko
mile hain hum kabhi phir se juda na hone ko
chalo ye farz karen faisla badalne ko
yahan pe KHud ko badalna hai gar badalna hai
so tum se kis ne kaha hai KHuda badalne ko
wo KHud to kho chuka duniya ki bhiD mein 'iman'
mujhe bhi kah gaya apna pata badalne ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.