asir-e-ishq hain aur waza aazadana rakhte hain
asīr-e-ishq haiñ aur vaz.a āzādāna rakhte haiñ
ham apnī zindagī afsāna-dar-afsāna rakhte haiñ
ḳhudā-ma.alūm aisī kyā kashish hai un kī mahfil meñ
ki ahl-e-dil qadam us samt betābāna rakhte haiñ
na ham taqlīd karte haiñ kabhī farhād-o-vāmiq kī
na apnī mamlikat meñ qais kā vīrāna rakhte haiñ
hameñ nisbat hai baade se hamārā naam hai 'sāqī'
nahīñ mai-kash magar haañ shaġhl kuchh rozāna rakhte haiñ
asir-e-ishq hain aur waza aazadana rakhte hain
hum apni zindagi afsana-dar-afsana rakhte hain
KHuda-malum aisi kya kashish hai un ki mahfil mein
ki ahl-e-dil qadam us samt betabana rakhte hain
na hum taqlid karte hain kabhi farhad-o-wamiq ki
na apni mamlikat mein qais ka virana rakhte hain
hamein nisbat hai baade se hamara nam hai 'saqi'
nahin mai-kash magar han shaghl kuchh rozana rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.