Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

asir-e-kashmakash-e-intizar hum bhi hain

Dr. Ahmar Rifai

asir-e-kashmakash-e-intizar hum bhi hain

Dr. Ahmar Rifai

MORE BYDr. Ahmar Rifai

    asīr-e-kashmakash-e-intizār ham bhī haiñ

    tirī nigāh ke ummīd-vār ham bhī haiñ

    tumhāre sāmne hairāñ haiñ misl-e-ā.īna

    ḳhud apne husn-e-nazar ke shikār ham bhī haiñ

    lahū se apne tarāvish hai lāla-o-gul par

    sharīk-e-qāfila-e-nau-bahār ham bhī haiñ

    hameñ ḳhabar hai pazīrā.ī-e-ġham-e-dil

    harīm-e-nāz ke ik rāzdār ham bhī haiñ

    maqām-e-khusravī-o-bazm-e-jam zikr kyā

    ki zer-e-sāya-e-dīvār-e-yār ham bhī haiñ

    nigāh pher na apne gunāhgāroñ se

    idhar to dekh sazā-vār-e-dār ham bhī haiñ

    hamāre dil meñ taḌaptī haiñ bijliyāñ 'ahmar'

    halāk-e-sheva-e-guftār-e-yār ham bhī haiñ

    asir-e-kashmakash-e-intizar hum bhi hain

    teri nigah ke ummid-war hum bhi hain

    tumhaare samne hairan hain misl-e-aina

    KHud apne husn-e-nazar ke shikar hum bhi hain

    lahu se apne tarawish hai lala-o-gul par

    sharik-e-qafila-e-nau-bahaar hum bhi hain

    hamein KHabar hai pazirai-e-gham-e-dil ki

    harim-e-naz ke ek raazdar hum bhi hain

    maqam-e-khusrawi-o-bazm-e-jam ka zikr hi kya

    ki zer-e-saya-e-diwar-e-yar hum bhi hain

    nigah pher na apne gunahgaron se

    idhar to dekh saza-war-e-dar hum bhi hain

    hamare dil mein taDapti hain bijliyan 'ahmar'

    halak-e-shewa-e-guftar-e-yar hum bhi hain

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now