asir-e-lamha-e-maujud ho gae hum bhi
asīr-e-lamha-e-maujūd ho ga.e ham bhī
ḳhud apnī zaat ke saa.e meñ kho ga.e ham bhī
lagāo sang-e-sadā shīsha-e-sukūt pe aaj
zamāne vaalo pukāro ki so ga.e ham bhī
lage to shāḳh pe ik barg-e-zard kī mānind
gire to gard-e-hiqārat meñ kho ga.e ham bhī
na dekh paa.e haqīqat ke haul-nāk nuqūsh
hazār rang naqāboñ meñ kho ga.e ham bhī
hamārā zauq-e-suḳhan-goī sirf zauq na thā
ki ek ahd ko is meñ samo ga.e ham bhī
ġhamoñ kī dhaar vahī hai alam kī kaaT vahī
na jaane kaise 'ayāñ' kund ho ga.e ham bhī
asir-e-lamha-e-maujud ho gae hum bhi
KHud apni zat ke sae mein kho gae hum bhi
lagao sang-e-sada shisha-e-sukut pe aaj
zamane walo pukaro ki so gae hum bhi
lage to shaKH pe ek barg-e-zard ki manind
gire to gard-e-hiqarat mein kho gae hum bhi
na dekh pae haqiqat ke haul-nak nuqush
hazar rang naqabon mein kho gae hum bhi
hamara zauq-e-suKHan-goi sirf zauq na tha
ki ek ahd ko is mein samo gae hum bhi
ghamon ki dhaar wahi hai alam ki kaT wahi
na jaane kaise 'ayan' kund ho gae hum bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.