asir-e-zulf hun kyunkar mujhe satate ho
asīr-e-zulf huuñ kyūñkar mujhe satāte ho
nigāh-e-shoḳh se kyūñkar mujhe lubhāte ho
ham apnī bāñhoñ kā jhūlā tumheñ jhulāte haiñ
ye raaz mere harīfoñ ko kyoñ batāte ho
zamīr apnā to bechā nahīñ hai tum ne kabhī
to dostoñ se bhalā aañkh kyoñ churāte ho
qasīda apne raqīboñ kā aap paḌh paḌh kar
na jaane ḳhuun mirā kis liye jalāte ho
tumhāre vāste jis jā girā hai ḳhuun 'hasan'
usī jagah pe pasīna ko kyoñ bahāte ho
asir-e-zulf hun kyunkar mujhe satate ho
nigah-e-shoKH se kyunkar mujhe lubhate ho
hum apni banhon ka jhula tumhein jhulate hain
ye raaz mere harifon ko kyon batate ho
zamir apna to becha nahin hai tum ne kabhi
to doston se bhala aankh kyon churaate ho
qasida apne raqibon ka aap paDh paDh kar
na jaane KHun mera kis liye jalate ho
tumhaare waste jis ja gira hai KHun 'hasan'
usi jagah pe pasina ko kyon bahate ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.